Meer Anees
Mir Anis

 A marsiya of Hazrat Ali Akbar
Manind-e-sher jung mein thi chaar su nigaah
Chhup chhup ke badliyo’n se nikalte thay misl-e-maah
Lekin ajal se bas nahi chalta kisi ka aah
Dekha jo phir ke youn nazar aayi adam ki raah
Chhaait pe lag ke pusht se naiza guzar gayaa
Ubla lahu to umr ka paimana bhar gaya
Naiza laga ke zor se khaincha laee’n ne jab
Tukde kai jigar ke nikal aaye hai ghazab
Harne pe sar jhuka ke jo sambhlaa wo tashnalab
Tar ho gayi lahu se qabaa Mustafa ki sab
Ghash aaya, nabzein chhut gayi’n, tevar badal gaye
Halqe rakaab ke bhi qadam se nikal gaye
Faryaad hai ke toot pada lashkar-e-giraa’n
Harbe tamaam fauj ke aur aik naujawaa’n
Girte hue faras se pukaraa wo neem jaa’n
Leeje khabar ghulam ki ai Qibla-e-Zamaa’n
Jaldi uthiye mujhay dasht-e-nabard se
Ab jaan nikli jaati hai chhati ke dard se
Sun’na tha ye ke Sheh pe gira aasmaan-e-ghum
Itna kaha ke “aah, hue ab tamaam hum”
Daude, gire, utthe, kai ja Qibla-e-Umam
Rakhkha kisi jaga to kisi ja pada qadam
Khaliq pisar ka daagh dikhaaye na baap ko
Aankho’n se kuchh dikhaai na deta tha aap ko
Chillaate the kidher ko hai tu ai jawaa’n pisar
Aashiq pisar, shafeeq pisar, meherbaa’n pisar
Mere saeed lal, mere qadrdaa’n pisar
Hoto’n pe dum hai baap ka, ai neem jaa’n pisar
Beta nibaah baap ka ab tere haath hai
Jaldi na keejiyo ke ye bekas bhi saath hai

Kis jaa sitam ki seene pe kha kar sinaa’n gire
Aawaaz phir do, ai Ali Akbar kahaa’n gire
Kis tarh ladkhadaa ke na ye naatawaa’n gire
Peeri mein jis pe koh-e-ghum-e-naujawaa’n gire
Aada se is sitam ka Khuda inteqaam le
Itna nahi koi mere haatho’n ko thaam le
Jangal mein pohche laash pe us waqt Shaah-e-Dee’n
Jab aidiyaa’n ragad rahe the Akbar-e-Hasee’n
Chillaaye paas gir ke Shah-e-Bekas o Hazee’n
Haazir hai baap ai mere farzand-e-mehjabee’n
Baba ko mutmain to karo mu se bol ke
Baahein gale mein daal do aankhon ko khol ke
Tum neb bhi mu ko baap se moda, hazaar haif
Bekas ko is zaeef ko chhoda, hazaar haif
Pehna na bar mein byaah ka joda, hazaar haif
Qismat ne taaze phool ko toda, hazaar haif
Bheegi hui maso’n pe ajab aab o taab thi
Hai hai abhi to aamad-e-fasl-e-shabaab thi
Kyon tharthara ke karwatein lete ho baar baar
Kya hai ke khaak par kisi pehlu nahi qaraar
Hazrat se dum nikalne mein bola wo Gul Azaar
Barchhi ka zakhm hai meri chhati ke waar paar
Kya haal-e-dil kahu’n, nahi taqat bayaan ki
Lo Alwida’a, jism se rukhsat hai jaan ki
Nagaah rang zard hua, haath thartharaaye
Karwat kabhi karaah ke li, gaah muskuraaye
Atka jo dum, sawaal mein paani ke lab hilaaye
Haste hue guzar gaye duniya se haai haai
Phaila ke haath paav wo maqtool reh gaya
Khushbu sue behisht gayi phool reh gaya
Bas ai Anees bas na sune the kabhi ye bain
Barpa hai bazm-e-matam-e-Akbar mein shor o shain
Mai aik kya, nahi kisi momin ke dil ko chain
Keeje madad, in apne ghulaamo’n ki YA HUSSAIN
Asrat ho dur, aish ka samaan kam na ho
Juz maatam-e-Huzoor koi aur ghum na ho