![]() |
Mir Anees |
Garmi ka roz jang ki kyon kar karoon bayaan
Darr hai ke misl e shama na jalne lage zabaan
Wo loo ke al hazar wo hararath ke al amaan
Rann ki zameen tou surkh thi aur zard aasmaan
Aab e khunukh ko khalq tarasti thi khaak par
Goya hawa se aag barasti thi khaak par
Wo loo wo aaftaab ki hiddat wo taab o tab
Kala tha rang dhoop se din ka misaal e shab
Khud nahr e alqama ke bhi sukhey huwe thay lab
Khaime jo thay hibaabon ke tap te thay sab ke sab
Udhti thi khaak khushk tha chashma hayaat ka
Khoula huwa tha dhoop se pani furaat ka
Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam
Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam
Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam
Surkhi udhi thi phoolon se sabzi gayaah se
Pani kuwein mein utra tha saaye ki chaah se
koson kisi shajar mein na gul thhe na barg o baar
ek ek nakhal jal rahaa thaa suurat e chinaar
hanstaa thaa koi gul na lahakataa thaa sabzaraar
kaantaa hui thi suukh ke har shaakh e baar daar
garmi ye thi ki zeest se dil sab ke sard thhe
patte bhi masle e cheharaa e madquuq zard thhe
girdaab par thaa shola e javaalaa kaa gumaan
angaare thhe habaab to paani sharar fishaan
muunh se nikal parhi thi har ek mauj ki zabaan
tah par thhe sab nihang magar thi labon pe jaan
paani tha aag garmi e roz hisaab thi
maahi jo seekh e mauj tak aayi kabaab thi