Mir Anis
Nikli jo ran mein taigh-e-Hussaini ghilaaf se
1) Masroof jung-e-taigh mein the ibne Qillageer
Nikla pare se ik qadar andaaz-e-benazir
Bad kesh o kaj nihaar o khata pesha o sharer
Palle se tod deta tha joshan ko jista teer
Kya koi iske aage bhala sar uttha sake
Rustam bhi jis kamaa ka na seesar uttha sake
2) Qabze mein taigh leke pukaare Shah-e-Zamaa'n
Haa'n, naavaq afghani mujhe dikhla to ai jawaa'n
Haa'n, nikli mooh se yaa'n, ke khhichi us tafar kamaa'n
Khhichna kamaa'n ka tha ke chala teer-e-be amaa'n
Halqa udhar kamaan ka kham ho ke reh gaya
Yaa'n taigh-e-Sheh se teer qalam ho ke reh gaya
3) Khali isi ravash se hua tarkash-e-shareer
Toode lagaaye kaat ke Hazrat ne saare teer
Chaha tha kashmakash mein ke ho jaaye gosha geer
Chillaye Sheh, ke bhaag na o sarkasho'n ke peer
Peechhe hatei'n pa paao, mazaa hai ye jung ka
Tu bhi to tod dekh le mere khudang ka
4) Yaa'n dosh se kamaa ko utara janaab ne
Qabze mein maah-e-nau ko kiya aaftaab ne
Bete ke haath choom liye Boo Turab ne
Taaka khata ko teer-e-nigaah se sawaab ne
Tarkash bhi azhdaha sa dehen knolne laga
Nikla uqaab-e-teer to par tolne laga
5) Chille mein rakh ke teer badhe Qibla-e-Umam
Ik haath raast kar ke kiya doosre ko kham
Kuch keh ke gosh-e-Sheh mein chala teer-e-tez dum
Awaaz di kamaa ne zahe shaah-e-baa karam
Chilla to shusht-e-Shaah-e-Zaman se nikal gaya
Waa'n teer dil ko tod ke san se nikal gaya
6) Gurz o sinaan o taigh o tabar kaampne lage
Naize misaal-e-shaakh-e-shjar kaampne lage
Dar se kamma kashon ke jigar kaampne lage
Go tarkashon mein teer the, par kaampne lage
Peechhe hate, khade the jo zaalim badhe hue
Goshon se khud utar gaye chille chadhe hue