Salam By Mir Anees
Shabeeh-e-Imaam-e-Zamaa'n

Meer Anees
Mir Anis


Shabeeh-e-Imam-e-Zamaa khenchte hain
Tassavur meintasveer-e-jaa’n khenchte hain
Zameedar seraab hain Karbala ke
Azeeyat Imam-e-Zamaa’n khenchte hain
Jagaa mol li hai mazaaro’n ki khatir
Zamee’n pe Shah-e-Dee’n nishaa’n khenchte hain
Idher khushq hai Fatima ki zara’at
Wo kheto'n me aab-e-rawaa’n khenchte hain
Hawa lagne deti na thi jis ko bulbul
Wahi gul jafa-e-khizaa’n khenchte hain
Kahaan bediyaan aur kahaan paay-e-Abid
Ye langar kahin natawaa’n khenchte hain
Ajab haal hai Dukhtar-e-Fatima ka
Rida sar se eezarawaa’n khenchte hain
Pukaarien Sakina duhaai hai baba
Sitamgar meri baaliyaa’n khenchte hain
Kati jaatein hain gardanein Bibiyon ki
Rasan ko jo eezarawaa’n khenchte hain
Ye aalam hai furqat mein kehti thein Zehra
Ke rag rag se jis tarha jaa’n khenchte hain
Kaha Sheh ne “Hushyaar ai qaum-e-nari”
Hum ab taigh-e-aatish fishaa’n khenchte hain
Qalam youn hai kagaz pet ham tham ke chalta
Qadam jis tarha natawaa’n khenchte hain
Bohot baagh duniya ke kaanto se uljhay
Bas ab rakhs soo-e-jinaa’n khenchte hain
Qadam bediyon mein, hain rassi mein bazoo
Ye dukh Aabid-e-natawaa’n khenchte hain
Kaha ro ke Akbar ne “Ai dard tham jaa”
Kaleje se baba sinaa’n khenchte hain
Bohot hum ko peesa hai, ik din tujhay bhi
Shikanje mein ai aasmaa’n khenchte hain
Mohabbat ka rishta nihayat hai nazuk
Mujhay kis liye qadrdaa’n khenchte hain
Qaree sar ke hai aaftaab-e-Qayamat
Lehed par abas saaibaa’n khenchte hain
Dikha doo Zameen-e-Najaf ki bulandi
Bohot aap ko aasmaa’n khenchte hain
Nas-e-ghum ki shiddat se kehte thay Abid
Ajab sakhtiyaa istakhwaa’n khenchte hain
Zamee ke tale jin ko jaana hai ik din
Wok yon sar ko ta aasmaa’n khenchte hain
Faqeeron ne yaa paav phaila diye hain
Ajab haath ahl-e-jafaa’n khenchte hain
Abas hai adu dar pe ai qatl-e-Asghar
Ye eezaa kahin bezabaa’n khenchte hain
Wo hain pehelwaa, hum jo qoowat dikhayein
Falak pe sipar kehkashaa’n khenchte hain
Sukhan hai agar baa’is-e-tulkh kaami
To hum aap apni zabaa’n khenchte hain
ANEES is zamee'n mein bohot kam hai wus’at
Kumait-e-qalam ki inaa’n khenchte ha in