![]() |
Mir Anees |
Baithey thay jaanemaaz pe Shahe falak sareer
Nagaah qareeb aake girey teen chaar teer
Dekha har ek ne mudhke suwe lashkar e kaseer
Abbas uthey tol ke shamsheer be nazeer
Parwane thay siraaj e imamat ke noor par
Rokey sipar huzoor karamat zahoor par
Akbar se mudhke kahne lage Sarware zamaan
Baandhe hai sarkashi pa kamar lashkare giraan
Tum jaake kahdo khaime mein ye ay pidar ki jaan
Bachon ko leke sahn se hatt jaaye bibiyaan
Ghaflat mein teer se koi bacha talaf na ho
Darr hai mujhe ke gardane Asghar hadaf na ho
Kahte thay ye pisar se Shahe aasmaan sareer
Fizza pukari deordhi se ay khalq ke ameer
Hai hai Ali ki betiyaan kis jaa ho goshgeer
Asghar ke gahware tak aakar girey hain teer
Garmi se saari raat ye ghut ghut ke roye hain
Bachey abhi tou sard hawa paake soye hain
Baqir kahin parha hai Sakina kahin hai ghash
Garmi ki fasl ye tab o taab aur ye atash
Ro ro ke sogaye hain sagheerane maahwash
Bachon ko leke yaan se kahan jaaye faqa kash
Ye kis khata pe teer piya pe barastey hain
Thandi hawa ke waastey bachey tarastey hain