![]() |
Mir Anees |
Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye
Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye
Dushman ko bhi na dost ki furqat Khuda dikhaye
Farmatey thay bichad gaye sab hum se hai haye
Itney pahaad gir padey jis par wo kham na ho
Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho
Kham hogaye ye daagh uthake Imame deen
Jhuk kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen
Yoon dard mein tadap ke kiya nalaye hazeen
Hilne lage pahaad larazne lagi zameen
Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki
Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki
Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein
Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein
Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein
Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein
Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye
Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye
Jis waqt aamad aamade saif e Khuda huwi
Hal chal padi har ek ke dar pe qaza huwi
Nabood zindagi huwi hasti fana huwi
Himmat dilon ke jism se quwwat juda huwi
Labrez hokey umr ke saaghar chhalak gaye
Kaampi zameen pahaad jagah se sarak gaye
Maidaan mein jab riyaaze Hussaini khizaan huwa
Dunya se kaarwaan Shahe deen ka rawaan huwa
Darya e khoon mein gharq har ek naujawaan huwa
Hamshakle Mustafa bhi shaheedey sinaan huwa
Rotey thay Shaah lasho mein tanha khade huwe
Thay khaak par kaleje ke tukde padey huwe