Salam By Mir Anees
Shabeeh-e-Imaam-e-Zamaa'n

Meer Anees
Mir Anis


Shabeeh-e-Imam-e-Zamaa khenchte hain
Tassavur meintasveer-e-jaa’n khenchte hain
Zameedar seraab hain Karbala ke
Azeeyat Imam-e-Zamaa’n khenchte hain
Jagaa mol li hai mazaaro’n ki khatir
Zamee’n pe Shah-e-Dee’n nishaa’n khenchte hain
Idher khushq hai Fatima ki zara’at
Wo kheto'n me aab-e-rawaa’n khenchte hain
Hawa lagne deti na thi jis ko bulbul
Wahi gul jafa-e-khizaa’n khenchte hain
Kahaan bediyaan aur kahaan paay-e-Abid
Ye langar kahin natawaa’n khenchte hain
Ajab haal hai Dukhtar-e-Fatima ka
Rida sar se eezarawaa’n khenchte hain
Pukaarien Sakina duhaai hai baba
Sitamgar meri baaliyaa’n khenchte hain
Kati jaatein hain gardanein Bibiyon ki
Rasan ko jo eezarawaa’n khenchte hain
Ye aalam hai furqat mein kehti thein Zehra
Ke rag rag se jis tarha jaa’n khenchte hain
Kaha Sheh ne “Hushyaar ai qaum-e-nari”
Hum ab taigh-e-aatish fishaa’n khenchte hain
Qalam youn hai kagaz pet ham tham ke chalta
Qadam jis tarha natawaa’n khenchte hain
Bohot baagh duniya ke kaanto se uljhay
Bas ab rakhs soo-e-jinaa’n khenchte hain
Qadam bediyon mein, hain rassi mein bazoo
Ye dukh Aabid-e-natawaa’n khenchte hain
Kaha ro ke Akbar ne “Ai dard tham jaa”
Kaleje se baba sinaa’n khenchte hain
Bohot hum ko peesa hai, ik din tujhay bhi
Shikanje mein ai aasmaa’n khenchte hain
Mohabbat ka rishta nihayat hai nazuk
Mujhay kis liye qadrdaa’n khenchte hain
Qaree sar ke hai aaftaab-e-Qayamat
Lehed par abas saaibaa’n khenchte hain
Dikha doo Zameen-e-Najaf ki bulandi
Bohot aap ko aasmaa’n khenchte hain
Nas-e-ghum ki shiddat se kehte thay Abid
Ajab sakhtiyaa istakhwaa’n khenchte hain
Zamee ke tale jin ko jaana hai ik din
Wok yon sar ko ta aasmaa’n khenchte hain
Faqeeron ne yaa paav phaila diye hain
Ajab haath ahl-e-jafaa’n khenchte hain
Abas hai adu dar pe ai qatl-e-Asghar
Ye eezaa kahin bezabaa’n khenchte hain
Wo hain pehelwaa, hum jo qoowat dikhayein
Falak pe sipar kehkashaa’n khenchte hain
Sukhan hai agar baa’is-e-tulkh kaami
To hum aap apni zabaa’n khenchte hain
ANEES is zamee'n mein bohot kam hai wus’at
Kumait-e-qalam ki inaa’n khenchte ha in

Meer Anees
Mir Anis

 A marsiya of Hazrat Ali Akbar
Manind-e-sher jung mein thi chaar su nigaah
Chhup chhup ke badliyo’n se nikalte thay misl-e-maah
Lekin ajal se bas nahi chalta kisi ka aah
Dekha jo phir ke youn nazar aayi adam ki raah
Chhaait pe lag ke pusht se naiza guzar gayaa
Ubla lahu to umr ka paimana bhar gaya
Naiza laga ke zor se khaincha laee’n ne jab
Tukde kai jigar ke nikal aaye hai ghazab
Harne pe sar jhuka ke jo sambhlaa wo tashnalab
Tar ho gayi lahu se qabaa Mustafa ki sab
Ghash aaya, nabzein chhut gayi’n, tevar badal gaye
Halqe rakaab ke bhi qadam se nikal gaye
Faryaad hai ke toot pada lashkar-e-giraa’n
Harbe tamaam fauj ke aur aik naujawaa’n
Girte hue faras se pukaraa wo neem jaa’n
Leeje khabar ghulam ki ai Qibla-e-Zamaa’n
Jaldi uthiye mujhay dasht-e-nabard se
Ab jaan nikli jaati hai chhati ke dard se
Sun’na tha ye ke Sheh pe gira aasmaan-e-ghum
Itna kaha ke “aah, hue ab tamaam hum”
Daude, gire, utthe, kai ja Qibla-e-Umam
Rakhkha kisi jaga to kisi ja pada qadam
Khaliq pisar ka daagh dikhaaye na baap ko
Aankho’n se kuchh dikhaai na deta tha aap ko
Chillaate the kidher ko hai tu ai jawaa’n pisar
Aashiq pisar, shafeeq pisar, meherbaa’n pisar
Mere saeed lal, mere qadrdaa’n pisar
Hoto’n pe dum hai baap ka, ai neem jaa’n pisar
Beta nibaah baap ka ab tere haath hai
Jaldi na keejiyo ke ye bekas bhi saath hai


Mir Anis
Jab ran mein sarbaland Ali ka alam hua
A marsiya of Hazrat Abbas
Nikla wo sher khaime ke baahar alam liye
Mujre ko aayi fathe sipaah-e-hasham liye
Jurrat ne badhke bosa-e-taigh-e-do dum liye
Nusrat ne choome paav, zafar ne qadam liye
Khursheed ka jalaal nigaahon se gir gayaa
Iqbaal sar ke gird humaa ban ke phir gaya
Aaya sajaa hua wo samand-e-Buraaq Sair
Tha jo falak pe udne ko taiyaar misl-e-tair
Hota tha uske dar se ghazaalon ka haal ghair
In mein sipaah-e-shar use rokein, to ye bakhair
Sar sar qadam ki gard ko paati nahi kabhi
Dhoonde basher, pari nazar aati nahi kabhi
Wo zaib o zain zeen ki wo saaz wo phaban
Zevar mein jaise hoti hai aaraasta dulhan
Chashm-e-siyaah deeda-e-aahu pe taanazan
Sar’at ye thi ke bhoolte the chaukdi hiran
Jaadu tha maujiza tha pari thi tilism tha
Paakhur na thi zirah mein tehemtan ka jism tha
Rakkha qadam rakaab mein Haider ke laal ne
Nalain-e-paa ko fakhr se chooma hilaal ne
Bakhshi jo sadr-e-zee’n ko zia, Khush Khisaal ne
Dum ko chawar kiya faras-e-bemisaal ne
Kis naaz se wo rashk-e-ghazaal-e-khutan chala
Taoos tha ke sair ko soo-e-chaman chala
Khushboo se arz-e-paak riyaaz-e-jinaa’n bani
Gard ud ke ghaaza-e-rukh-e-laila wishaa’n bani
Jalwe se raah-e-dasht-e-bala kehkashaa’n bani
Zarre bane nujoom, zamee aasmaa’n bani


Mir Anis
AIN-E-HUSSAIN (EYES OF HUSSAIN)
Aankho ko kahiye ain to ain-e-khata hai ye
Parde na kyon ho saat ke noor-e-Khuda hai ye
Sab ko hai chashmdasht ke ain-e-ata hai ye
Beemaar khud pa sab ke maraz ki dawa hai ye
Sarkhush bhi jaam in ki jo ulfat mein pee gaya
Dekha nigaah-e-lutf se jisko wo jee gaya
Ahsaan bhi haya bhi murawwat bhi qeher bhi
Khud maut bhi hayaat bhi amrit bhi zeher bhi
Beena bhi nuqtasanj bhi danaa-e-deher bhi
Tasneem bhi Behisht bhi Kausar ki neher bhi
Sar sharm se jhukaaye hai nargis riyaaz mein
Jannat sawaad mein, Yad-e-Baiza bayaaz mein
Aahu Shikaar o teer o kamaadaar o sher geer
Hushyaar o khush nigaah o sukhansanj o dilpazeer
Khoo’nrez o jaa’nfareb o dilavez o benazir
Qabze mein abruo’n ki kamaanein, mizhah ke teer
Jis saada dil ko inki siyaahi ki yaad ko
Nakhwaanda bhi gar ho to raushan sawaad ho
Aahufareb o ashwafarosh o karishmasaaz
Tannaaz o sharmgeen o giraa’n khwaab o sarfaraaz
Haqbeen o paakbaaz o Khudabeen o Beniyaaz
Bedaar o daaghdeeda o khoo’nbaar o ghumtaraaz
Gird iske phir, ye Kaaba-e-eemaa’n ka tauf hai
Bas ai Anees bas nazar-e-bad ka khauf hai

Mir Anis
Jab qataa ki masaafat-e-shab aaftaab ne
1) Chillaya haath maar ke zaanoo pe Ibne Saad
Ai wa fazeehata, ye hazeemat zafar ke baad
Zeba dilawaron ko nahi hai khilaaf-e-waad
Aik pehelwaa ye sunte hi garja misaal-e-raad
Naara kiya ke karta hoon hamla Imaam par
Ai Ibne Saad likh de zafar mere naam par
2) Bala qad o qulfat, tan o mand o kheera sar
Roai'n tan o siyaah, dar o aahni kamar
Nawaq payaam-e-marg, ke tarkash ajal ka ghar
Taighein hazaar toot gayin jis pe wo sipar
Dil mein badi, tabeeyat-e-bad mein bigaad tha
Ghode pe tha shaqi ke hawa mein pahaad tha
3) Saath uske aik usi qad o qamat ka aik yal
Aankhen kabood, rang siyaah, abroowo pe bal
Badkaar o badshiyaar o sitamgaar o pur waghal
Jung aazma, bhagaaye hue lashkaron ked dal
Bhaale liye, kasay hue kamrein sataiz par
Naza ye zarb-e-gurz pe, ye taigh-e-taiz par
4) Khhich jaaye shaql-e-harb wo tatbeer chahiye
Dushman bhi sab makar ho, wo taqreer chahiye
Tezi zubaa mein soorat-e-shamsheer chahiye
Faulaad ka qalam, dam-e-tehreer chahiye
Naqsha khichega saaf saf-e-kaarzaar ka
Paani dawaat chahati hai Zulfiqaar ka
5) Lashkar mein iztaraab tha, faujo mein khalbali
Sawant behawaas, hirasaa'n dhani bali
Dar tha ke lo Hussain badhe, taigh ab chali
Ghul tha idher hain Marhab o Antar, udher Ali
Khaiber) and Imam Hussain(as) was Hazrat Ali(as)
Kaun aaj sar baland ho aur kaun past ho
Kiski zafar ho dekhiye, kiski shikast ho
6) Aawaz di ye Haatif-e-Ghaibi ne tab ke haa'n
Bismillah ai Ameer-e-Arab ke suroor-e-jaa'n