Mir Anees

   Garmi ka roz jang ki kyon kar karoon bayaan
Darr hai ke misl e shama na jalne lage zabaan

Wo loo ke al hazar wo hararath ke al amaan
Rann ki zameen tou surkh thi aur zard aasmaan

Aab e khunukh ko khalq tarasti thi khaak par
Goya hawa se aag barasti thi khaak par

Wo loo wo aaftaab ki hiddat wo taab o tab
Kala tha rang dhoop se din ka misaal e shab

Khud nahr e alqama ke bhi sukhey huwe thay lab
Khaime jo thay hibaabon ke tap te thay sab ke sab

Udhti thi khaak khushk tha chashma hayaat ka
Khoula huwa tha dhoop se pani furaat ka

Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam
Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam

Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam
Patthar bhi sab pigal gaye thay misl e moum khaam

Mir Anees

        Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye
Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye

Dushman ko bhi na dost ki furqat Khuda dikhaye
Farmatey thay bichad gaye sab hum se hai haye

Itney pahaad gir padey jis par wo kham na ho
Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho

Kham hogaye ye daagh uthake Imame deen
Jhuk kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen

Yoon dard mein tadap ke kiya nalaye hazeen
Hilne lage pahaad larazne lagi zameen

Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki
Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki

Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein
Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein

Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein
Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein

Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye
Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye

Jis waqt aamad aamade saif e Khuda huwi
Hal chal padi har ek ke dar pe qaza huwi

Nabood zindagi huwi hasti fana huwi
Himmat dilon ke jism se quwwat juda huwi

Labrez hokey umr ke saaghar chhalak gaye
Kaampi zameen pahaad jagah se sarak gaye

Maidaan mein jab riyaaze Hussaini khizaan huwa
Dunya se kaarwaan Shahe deen ka rawaan huwa

Darya e khoon mein gharq har ek naujawaan huwa
Hamshakle Mustafa bhi shaheedey sinaan huwa

Rotey thay Shaah lasho mein tanha khade huwe
Thay khaak par kaleje ke tukde padey huwe


Mir Anees
   Kis husn se Hasan ka jawane haseen lada
Ghir ghir ke surate asad e khushmgeen lada

Do din ki bhook pyaas mein wo mahjabeen lada
Sahra ulat ke yoon koi dulha nahi lada

Hamle dikha diye asad e kirdgaar ke
Maqtal mein sooye arzak e shaami ko maar ke

Chamki jo taegh Hazrate Abbas e arsh jaah
Roohul ameen pukarey ke Allah ki panaah

Dhaloon mein chup gaya pisar e saad ru siyaah
Kushtoon se band ho gayi aman o amaan ki raah

Jhapta jo sher shoakh mein darya ki saer ke
Le li tarayi taeghon ki moujoon ko phaer ke

Be sar huwe muwakkil e sar chashma e furaat
Hal chal mein misl e mouj safoon ko na tha sabaat

Darya mein girke fout huwe kitne bad sifaat
Goya habaab hogaye thay nuqta e hayaat

Abbas bhar ke mashk ko yoon tashnalab laday
Jis tarah naharwaan mein ameer e arab laday

Aafat thi harb o zarb e Ali Akbar e diler
Ghusse mein jhapte ser pe jaise garsina sher

Sab sar buland past zabardast sab thay zer
Jangal mein chaar simpt huwe zakhmiyoon ke dher

Siraan ke utre tan se jo thay rann chadhey huwe
Abbas se bhi jang mein kuch thay badhey huwe

Talwaarein barsi subh se nusfun nihaar tak
Hilti rahi zameen laraztey rahey falak

Kaampa kiye paroon ko simte huwe malak
Na

Mir Anees

      Nagaah badhey alam liye Abbas e ba wafa
dauRe sab Ahle Bayt khule sAr, barahna pa

Hazrat ne haath utha ke ye ik eik se kaha
Lo Alwida ay haram e paak e Mustafa

Subhe shab e firaaq hai pyaaron ko dekh lo
Sab mil ki doobte huwe taaron ko dekh lo

Shay ke qadam pe Zainab e zaar o hazeen giri
Bano pachaad kha ke pisar ke kareen giri

Kulsoom thar thara ke baruhe zameen giri
Baqir kahin gira tou Sakina kaheen giri

Ujda chaman har ek gul taza nikal gaya
Nikla alam ke ghar se janaza nikal gaya

Nagaah udhar se teer chale janibe Imaam
Ghoda bada ke aap ne hujjat bhi ki tamaam

Nikle idhar se Shay ke rafiqaan e tashnakaam
Be sar huwe paroon mein saraan e sipaah e shaam

Bala kabhi thi taegh kabhi zer e tang thi
Ek ek ki jang maalik e ashtar ki jang thi

Allah re Ali ke nawasoon ki kaarzaar
Dono ke nichey thay ke chalti thi zulfiqaar

Shana kata kisi ne jo roka sipar pe waar
Ginti thi zakhmiyoon ki na kishtoon ka tha shumaar

Utney sawaar qatl kiye thodi daer mein
Dono ke ghodey chup gaye laasho ke dhaer mein

Mir Anees
      Ye sunke aayi zaojaye Abbas e naamwar
Shohar ki simpt pehle kinkhiyoon se ki nazar

Lee sibte Mustafa ki balayein ba chashme tar
Zainab ke gird phirke ye boli wo nauhagar

Faiz aap ka hai aur tasadduq Imaam ka
Izzat badi kaneez ki rutba ghulaam ka

Sar ko laga ke chathi se Zainab ne ye kaha
Tu apni maang kookh se thandi rakhe sada

Ki arz mujhse laakh kaneezein hoon tou fida
Bano e naamwar ko suhaagan rakhe Khuda

Bachey jiye taraqqiy e iqbal o jaah ho
Saaye mein aap ke Ali Akbar ka byaah ho

Naagaah aakey bali Sakina ne ye kaha
Kaisa hai ye hujoom kidhar hai mere chacha

Ohda alam ka unko mubarak karey Khuda
Logoon mujhe balayein tou lene do ek zara

Shaukat Khuda badhaye mere ammu jaan ki
Mein bhi tou dekhoon shaan Ali ke nishaan ki

Abbas muskura ke pukarey ka aao aao
Ammu nisaar pyaas se kya haal hai batao

Boli lipat ke wo ke meri mashq lete jaao
Ab tou alam mila tumhein pani mujhe pilaao

Tohfa na koi deejiye na in